Wednesday, April 20, 2022

Shah Mehmood Qureshi vs Bilawal Bhutto Zardari | Who's better foe Foreign Minister?


via https://youtu.be/oQwhpwzELgE
Shah mehmood qureshi aur bilawal bhutto me se kon behtar he bilawal Bhutto zaradari ki sirf ek hi qualification hai ki vah siyasi family se Taluk rakhte Hain woh Zardari or Benazir Bhutto Ke Bete hain aur zulfikar Ali Bhutto k Nawase Hain or unki intelliengence or baat karne k tareeqa to apne inke speeches me or inke CNN ke interview Mein Hi dekh li Jab Inko CNN ki aunty ne dant b pilayi thi Shah mehmood qureshi 1985 se pakistan ki siyasat me hen 35 sal se siyasat kar rahe hen Inho ne as an MPA siyasat multan se shru ki thi Ye 3 baar MPA or 5 baar MNA ban chuke hen 2000 se 2002 tak multan k mayor b muntakhib hue the Ye do baar punjab k finance minister reh chuke hen Ek baar minister of state aur 2 baar foreign minister reh chuke hen S M Q Aitchison, forman college, uni of cambridge se taleem yafta hen In ka taluk sufi khandan se he aur ye hazrat bauddin zakriya k gaddi nasheen hen 2008 se 2011 tak ye foreign minister the jb unho ne raymond davis k mamle pe amrica k samne ehtejaj koya tha aur unho ne istifa dya tha ussi waqt khan sahab amrici agent Raymond davis k khilaf ehtejaj kar rahe the to inho ne Pti join karli thi khan sahab ne inko vice chairman banaya ye PTI me khan sahab k baad ye senior leader hen 2018 k election k baad ye dubara foreign minister bane Inho ne pakistan k liye mazbut foreign policy banayi foreign office ko professionalize kya Ye kehte the pakistan ki foreign policy tamam stake holders k sath mushawrat k baad foreign office me banegi. Pakistan ki foreign policy ko geo politics se geo economics mein tabdil kiya Kyunki yah Jante the ki Pakistan ki taqat mazbut economy mein hai is tarike se inhone Pakistan ki nai trade linkages Banai maslan Central Asia, Middle East, Central America, South East Asia or Africa ke andar Pakistani Ashya ke liye nai markets dhundhi or cooperation barayi yah International forums Jaise ke un, oic aur International Media per Pakistan ka mazbuti se dafa Karte Aaye Hain inhone UN General Assembly Mein Jabardast kism ka khitab kiya tha aur Pakistan k andr do O i c ki conference karwane me inka hi kaleedi kirdar he Int’l level pe Kashmir ke issue ko highlight Karva Chuke Islamophobia ke k khilaf Pakistan ki achievement Mein Inka hi Hath hai inhone Sabik Wazir E Azam ki Gair Mulk ki doron ke liye Rahe Ham war ki aur European Asian aur African countries ke sath rabte mazboot kiye. China k sath dealings me b zabardast diplomacy nazar ayi. Afghanistan k peace process me b unka bht bara role he. Inhone imran khan ka us waqt sath dya he jab sari dunya unke khilaf thi, ye waqayi ek nazryati or wafadar syasatdan hen Tareekh me SMQ ko Pakistan ka ek bht bara diplomat samjha jayega jese Germans Otto von Bismarck ko yaad krte hen Rahi baat bilawal ki Shehbaz Gill ne sahi kaha he Bilawal Zardari ko washington dore par hi wazeer e kharja ka ohda dene ka fesla ho chuka tha Subscribe to Pakistan Ka Podcast. Also, click on the notification bell to get our videos on time.

No comments:

Post a Comment